duniya ko har chiz dikhai ja sakti hai patthar mein bhi aankh banai ja sakti hai dil ki mitti ki zarkhezi aisi hai ki kaisi bhi ho chiz ugai ja sakti hai hijr ka mausam wo mausam hai jis mein jaanan aankhon mein bhi raat bitai ja sakti hai patthar ko thokar ki had tak tum na jaano patthar se to aag lagai ja sakti hai khud ke hone ka ehsas dilata hai wo is dar se ke us ki khudai ja sakti hai dil ki bazi aisi bazi hai jis mein hum haaren bhi to jit manai ja sakti hai mujh ko sare naqsh adhure dikhte hain ab yani mujh pe gaj girai ja sakti hai