duniya mein kuchh apne hain kuchh begane alfaz

duniya mein kuchh apne hain kuchh begane alfaz
kis ko itni fursat hai jo pahchane alfaz

reg-e-alamat mein bhi jal kar pa na sake mafhum
sahra-e-mani mein bhi bhatke anjaane alfaz

dasht-e-azal se dasht-e-abad tak chhan chuka mein khak
aur kahan le jaenge ab bhatkane alfaz

be-mani mahaul mein rah kar zehn hua mauf
mujh ko bhi pagal kar denge diwane alfaz

aksar aadhi raat mein le kar kuchh pathrile khwab
shisha-e-zehn se aa jate hain takrane alfaz

sher-o-sukhan ke mai-khane ka main hun ek mai-khwar
mere liye baada hai takhayyul paimane alfaz

'kaif' kabhi ek sher mein dhalna hota hai dushwar
aur kabhi khud ban jate hain afsane alfaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close