duniya se dagh-e-zulf-e-siyah-fam le gaya

duniya se dagh-e-zulf-e-siyah-fam le gaya
main gor mein charagh-e-sar-e-sham le gaya

ki tark main ne shaikh o barahman ki pairwi
dair-o-haram mein mujh ko tera nam le gaya

dozakh mein jal gaya kabhi jannat mein khush raha
mar kar bhi sath gardish-e-ayyam le gaya

main justuju-e-kufr mein pahuncha khuda ke pas
kaba tak in buton ka mujhe nam le gaya

pahna kafan to kucha-e-qatil mein pai rah
kaba mein mujh ko jama-e-ehram le gaya

nafrat hui do-rangi-e-lail-o-nahaar se
main subh o sham us ko lab-e-baam le gaya

kuchh lutf ishq ka na mila jite-ji 'munir'
nahaq ka ranj muft ka ilzam le gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close