dushman-e-jaan koi bana hi nahin itne hum laiq-e-jafa hi nahin aazma lo ki dil ko chain aae ye na kahna kahin wafa hi nahin hum pashiman hain wo bhi hairan hain aisa tufan kabhi utha hi nahin jaane kyun un se milte rahte hain khush wo kya honge jab khafa hi nahin tum ne ek dastan bana dali hum ne to raaz-e-gham kaha hi nahin gham-gusar is tarah se milte hain jaise duniya mein kuchh hua hi nahin ai junun kaun si ye manzil hai kya karen kuchh hamein pata hi nahin maut ke din qarib aa pahunche hae hum ne to kuchh kiya hi nahin