ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamana

ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamana
tuta hai asia mein sehr-e-firangiyana

tamir-e-ashiyan se main ne ye raaz paya
ahl-e-nawa ke haq mein bijli hai aashiyana

ye bandagi khudai wo bandagi gadai
ya banda-e-khuda ban ya banda-e-zamana

ghafil na ho khudi se kar apni pasbani
shayad kisi haram ka tu bhi hai aastana

ai la ilah ke waris baqi nahin hai tujh mein
guftar-e-dilbarana kirdar-e-qahirana

teri nigah se dil sinon mein kanpte the
khoya gaya hai tera jazb-e-qalandarana

raaz-e-haram se shayad 'iqbaal' ba-khabar hai
hain is ki guftugu ke andaz mahramana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close