ek hawa sa mere sine se mera yar gaya

ek hawa sa mere sine se mera yar gaya
zinda karne mujhe aaya tha magar mar gaya

ab to ye jism bhi jata nazar aata hai mujhe
ishq ab chhod meri jaan ki main haar gaya

int gare ka bas ek dher bana baitha hun
zer-e-tamir mujhe chhod ke meamar gaya

ghar ko wapas kabhi jata nahin dekha gaya wo
sab ne jis shakhs ko dekha tha ki bazar gaya

raste mein kahin nind aa gai hogi shayad
is safar mein to mera dida-e-bedar gaya

aaj ek husn ne bheje the sipahi apne
farhat-ehsas mohabbat mein giraftar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close