ek shaKHs raat band-e-qaba kholta raha

ek shakhs raat band-e-qaba kholta raha
shab ki siyahiyon mein shafaq gholta raha

tanhaiyon mein aati rahi jab bhi us ki yaad
saya sa ek qarib mere dolta raha

husn-e-bahaar khub magar dida-e-bahaar
moti chaman ki khak pe kyun rolta raha

us ne sukut ko bhi takallum samajh liya
kuchh is ada-e-khas se dil bolta raha

hijran ki raat mashghala-e-dil se puchhiye
us zulf-e-kham-ba-kham ki girah kholta raha

hum kushtagan-e-khwab giran-gosh hi rahe
suraj saron pe waqt-e-sahar bolta raha

is rah-e-jazb se bhi guzarna pada 'zahir'
jis rah mein khirad ka qadam dolta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close