falak un se jo baDh kar bad-chalan hota to kya hota

falak un se jo badh kar bad-chalan hota to kya hota
jawan se pesh-rau pir-e-kuhan hota to kya hota

musallam dekh kar yaqub murde se hue bad-tar
jo yusuf ka darida pairahan hota to kya hota

hamara koh-e-gham kya sang-e-khara hai jo kat jata
agar mar mar ke zinda kohkan hota to kya hota

ata ki chadar-e-gard us ne apne marne walon ko
hui khilqat ki ye surat kafan hota to kya hota

nigah-ban jal gae chaar aankhen hote dekh kar us se
kalim aasa kahin wo ham-sukhan hota to kya hota

bada bad-ahd hai is shohrat-e-ifa-e-wada par
agar mashhur tu paiman-shikan hota to kya hota

muqaddar mein to likkhi hai gadai ku-e-jaanan ki
agar 'afsar' shahanshah-e-zaman hota to kya hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close