faqat qaziya yahi hai fann-e-tabi aur ilahi mein

faqat qaziya yahi hai fann-e-tabi aur ilahi mein
jo ilm-e-marifat chahe to rah yaad-e-ilahi mein

samajhta hai usi ka jalwa-gah ghaib-e-shahadat ko
nahin kuchh farq aarif ko safedi o siyahi mein

nahin aaram mujh ko iztirab-e-dil se sine mein
ki dariya muztarib hota hai betabi-e-mahi mein

na kar maston se kawish har ghadi aaman kahta hun
khalal aa jaega zahid teri ismat-panahi mein

jaga kar khwab-e-asaish se 'bedar' aah hasti mein
adam-asudgan ko la ke dala hai tabahi mein

jo kaifiyyat hai masti se teri aankhon ki lali mein
nahin wo nashsha-e-rangin sharab-e-portugali mein

sar-o-barg-e-khushi ai gul-badan tujh bin kahan mujh ko
gulistan-e-dil aaya fauj-e-gham ki paemali mein

dur-e-dandan hue the maujzan kis bahr-e-khubi ke
ki moti sharm se pani hue silk-e-laali mein

jahan wo shakkarin-lab guftugu mein aawe ai tuti
sukhan sarsabz tera kab ho wan shirin-maqali mein

abas hai aarzu-e-khush-dili 'bedar' gardun se
mai-e-rahat jo chahe so kahan is jam-e-khali mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close