fareb shab ka giraftar rahun bachao mujhe

fareb shab ka giraftar rahun bachao mujhe
jala ke shama koi rasta dikhao mujhe

zaban-e-haal se kahti hai yaad mazi ki
tumhaari rah ki diwar hun girao mujhe

kahan hun dasht-e-talab mein mujhe pata to chale
mera bhi nam pukaro koi bulao mujhe

main nam zamin ka pauda hun sukh jaunga
sulagti dhup ke sahra mein mat lagao mujhe

koi mata-e-hunar dast-e-be-hunar ke liye
kahaniyan na karamat ki sunao mujhe

bitha ke niche ghatate ho kyun mujhe har bar
bhale ko apne kabhi dahine bithao mujhe

mere suluk ki surat badal nahin sakti
hazar zulm-o-sitam kar ke aazmao mujhe

ye be-rukhi ye taghaful kahan talak pyare
tumhaare kaam hi aaunga mat ganwao mujhe

nigal na jae kahin mujh ko dasht-e-khamoshi
akela chhod ke jao na ai sadao mujhe

mujhe bhi shauq hai padhne ka ye kitab-e-ghazal
kahin se muft mein hath aae to batao mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close