faza mein kaif-fashan phir sahab hai saqi phir apne rang pe daur-e-shabab hai saqi ye talkh yaaden kam-az-kam bhula to deti hai sharab kuchh bhi ho aakhir sharab hai saqi jo apni hasti ki masti mita ke aata hai tere huzur wahi baryab hai saqi gham-e-firaq gham-e-zindagi gham-e-duniya sharab sare ghamon ka jawab hai saqi teri nigahon se maikhane jam bharte hain teri nigahon ka koi jawab hai saqi ba-qaul-e-'charkh' yahan mastiyan ubharti hain ye mai-kada to jahan-e-shabab hai saqi