fikr-e-zar mein bilakta hua aadmi

fikr-e-zar mein bilakta hua aadmi
ab kahan rah gaya kaam ka aadmi

zindagi bhi haqiqat mein ek jurm hai
umr bhar katta hai saza aadmi

kaun apnae mazi ki parchhaiyan
kaun paida kare ab naya aadmi

khub-surat si is par kahani likho
ganw ki goriyan shahr ka aadmi

the bahut log mahfil mein baithe hue
un mein mushkil se ek mil gaya aadmi

ye kamal-e-khudi hi kaha jaega
khud hi duniya banane laga aadmi

tum bhi 'sahir' zara is se bach kar raho
ganw se hai alag shahr ka aadmi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close