gahraiyon se mujhko kisi ne nikal ke

gahraiyon se mujh ko kisi ne nikal ke
phenka hai aasman ki jaanib uchhaal ke

main ne zamin ko nap liya aasman tak
nazron mein fasle hain uruj-o-zawal ke

chehre har ek se puchh rahe hain koi jawab
shoalon pe kuchh nishan lage hain sawal ke

log mein ab wo charb-zabani nahin rahi
ya hijr mein udas hain qisse visal ke

har shakhs se mila hun badi ehtiyat se
har shakhsiyyat ko main ne padha hai sambhaal ke

ab shairi se sirf hai lafzon ka wasta
rishte tamam ho gae fikr-o-khayal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close