gar hai nae nizam ki taKHliq ka KHayal

gar hai nae nizam ki takhliq ka khayal
aabaadiyon ko nazr-e-bayaban to kijiye
gar jalwa-e-jamal ki dil ko hai aarzu
ashkon se chashm-e-shauq charaghan to kijiye
hona hai dard-e-ishq se gar lazzat-ashna
dil ko kharab-e-talkhi-e-hijran to kijiye
ek lamha-e-nashat ki gar hai hawas 'shamim'
dil ko halak-e-hasrat-o-arman to kijiye
This is a great nizam shayari in hindi. True lovers of shamim jaipuri shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this aansoo shayari sms hindi is truly a work of art. Please share if you liked this!!!