gareban se tere kis ne nikala subh-e-khandan ko kiya kis ne nihan daman ki kaliyon se gulistan ko udaya chutkiyon mein mere zarre ne bayaban ko mere qatre ne pani kar diya har mauj-e-tufan ko meri kashti bhanwar se khelne ka shauq rakhti hai ye kis ne kar diya khamosh yarab mauj-e-tufan ko ye kya naghma tha chheda jo yakayak qalb-e-muztar ne ki meri nai ne raqsan kar diya sare gulistan ko main hun wo qatra-e-shabnam ki chamka tere partaw se lagi hain khinchne kirnen meri mehr-e-darakhshan ko mere zauq-e-fana par zindagi hai khizr ki qurban mere talkhaba-e-gham mein dubo do aab-e-haiwan ko kalim-e-tur-e-mani hun yad-e-baiza hai mera dil munawwar kar diya jis ne mere chaak-e-gareban ko