ghairon se dad-e-jaur-o-jafa li gai to kya ghar ko jala ke khak uda di gai to kya ghaarat-gari-e-shahr mein shamil hai kaun kaun ye baat ahl-e-shahr pe khul bhi gai to kya ek khwab hi to tha jo faramosh ho gaya ek yaad hi to thi jo bhula di gai to kya misaq-e-aitabar mein thi ek wafa ki shart ek shart hi to thi jo utha di gai to kya qanun-e-bagh-bani-e-sahra ki sarnawisht likkhi gai to kya jo na likkhi gai to kya is qahat-o-inhedam-e-riwayat ke ahd mein talif nuskha-ha-e-wafa ki gai to kya jab 'mir' o 'mirza' ke sukhan raegan gae ek be-hunar ki baat na samjhi gai to kya