ghalat nahin hai dil-e-sulh-KHu jo bolta hai

ghalat nahin hai dil-e-sulh-khu jo bolta hai
magar ye harf-e-baghawat lahu jo bolta hai

mere ujadne ki takmil kab hui jaanan
darakht-e-yaad ki tahni pe tu jo bolta hai

sar-sukut-e-adam kis ke hont hilte hain
koi to hai pas-e-diwar-e-hu jo bolta hai

zamane teri haqiqat samajh mein aati hai
hawa ki thap se khali subu jo bolta hai

nafasaton ka qarina hai teri khamoshi
magar ye jeb ka tar-e-rafu jo bolta hai

idhar ye kan hain qahr-e-khizan jo sunte hain
udhar wo ped hai sehr-e-numu jo bolta hai

nafas ke jal mein kab qaid ho saka 'arshad'
wo ek parind-e-fana ku-ba-ku jo bolta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close