gham mera dushman-e-jaani hai kaho ya na kaho mere aansu ki zabani hai kaho ya na kaho raat parwane ke matam mein gudaz-e-dil se shama ki ashk-fishani hai kaho ya na kaho ghuncha-e-gul ke tain dekhte hi hum ne kaha dil-e-pur-khun ki nishani hai kaho ya na kaho matha ghisne se mere mahr-jabin ke dar par subh ki ujli peshani hai kaho ya na kaho mayyat-e-ishq ka gar dekho rukh-e-nurani maghfirat ki ye nishani hai kaho ya na kaho