ghar se bahar kabhi nikla kije

ghar se bahar kabhi nikla kije
'hashami' galiyon mein tahla kije

husn baaton mein bhi paida kije
samne aaina rakkha kije

kyun kisi aur ko ruswa kije
ab ke apna hi tamasha kije

pahle khud aap ko parkha kije
aur phir shikwa-e-duniya kije

kahin suli na samjhe le koi
apni banhon ko na khola kije

sochiye phul khila hai kya kya
surat-e-sang na dekha kije

itni fursat bhi kise hai lekin
gahe-gahe hamein puchha kije

har koi munh mein zaban rakhta hai
rokta kaun hai bola kije

ye bhi andaz hai ek chhupne ka
is qadar pas na aaya kije

aane lagti hai shikaston ki sada
aise khamosh na baitha kije

rabt bhi rakhta hai mani apne
baat be-baat na toka kije

'hashami' gham ne phir angdai li
'hashami' phir ghazal insha kije


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close