ghar se nikle the hausla kar ke laut aae khuda khuda kar ke dard-e-dil paoge wafa kar ke hum ne dekha hai tajraba kar ke log sunte rahe dimagh ki baat hum chale dil ko rahnuma kar ke kis ne paya sukun duniya mein zindagani ka samna kar ke zindagi to kabhi nahin aai maut aai zara zara kar ke