ghaza to tera utar gaya tha

ghaza to tera utar gaya tha
main dekh ke khud ko dar gaya tha

is shahr mein raste ka patthar
main jangalon se guzar gaya tha

tahrir-e-jabin miti hui thi
taqdir ka zakhm bhar gaya tha

be-nur thi jhil bhi kanwal se
suraj bhi khala mein mar gaya tha

ehsas shabab gham mohabbat
ek ek nasha utar gaya tha

dil ko wo sukun mila tere pas
jaise main nagar nagar gaya tha

kya chiz thi baad-e-subh-gahi
ru-e-gul-e-tar nikhar gaya tha

hamrah the an-ginat zamane
main dasht se apne ghar gaya tha

nazron ka milap kaun bhule
ek saneha sa guzar gaya tha

iqrar-e-wafa kiya tha us ne
main fart-e-khushi se mar gaya tha

'siddiq' chali thi tez aandhi
mitti ka badan bikhar gaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close