ghul si gai ruh mein udasi

ghul si gai ruh mein udasi
ras aai na hum ko khud-shanasi

har mod pe be-kashish khadi hai
ek khush-badani o kam-libasi

lalach mein paron ke pair chhute
ab rakht-e-safar hai be-asasi

nafs-e-mazmun isi mein hai go
mazmun-e-nafas hai iqtibasi

aai bhi to kya nigar-e-tabir
odhe hue khwab ki rida si

jadu sa alam ka kar gai 'saz'
un aankhon ki multafit udasi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close