ghunche ghunche pe gulistan ke nikhaar aa jae

ghunche ghunche pe gulistan ke nikhaar aa jae
jis taraf se wo guzar jaen bahaar aa jae
har nafas hashr-ba-daman hai junun-e-gham mein
kis tarah ahl-e-mohabbat ko qarar aa jae
wo koi jam pila den to na jaane kya ho
jin ke dekhe hi se aankhon mein khumar aa jae
ghair hi se sahi paiham ye kudurat kyun ho
kahin aaina-e-dil par na ghubar aa jae
kuchh is andaz se hai husn pashiman-e-jafa
koi mayus-e-wafa dekhe to pyar aa jae
'naz' ghar se liye jata hai su-e-dasht mujhe
wo junun jis se bayaban ko bhi aar aa jae