ghurur-e-ulfat ki tarz-e-nazish ajab karishme dikha rahi hai

ghurur-e-ulfat ki tarz-e-nazish ajab karishme dikha rahi hai
hamari ruthi hui nazar ko teri tajalli mana rahi hai

wo tur wali teri tajalli ghazab ki garmi dikha rahi hai
wahan to patthar jala diye the yahan kaleja jala rahi hai

mere nasheman mein shan-e-qudrat ke sare asbab hain muhayya
hawa safai pe hai muqarrar charagh bijli jala rahi hai

na us ke daman se main hi uljha na mere daman se ye hi atki
hawa se mera bigad kya hai jo sham-e-turbat bujha rahi hai

farishte aae agar lahad mein to saf kah dunga rasta lo
jab us ki chahat mein jaan de di to baat kahne ko kya rahi hai

jamal-e-qudrat mujhi ko de de ki main kaleje ki chot sekun
kalim ke ghar mein rakkhe rakkhe wo aag ab kya bana rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close