gila hai shauq ko dil mein bhi tangi-e-ja ka guhar mein mahw hua iztirab dariya ka ye jaanta hun ki tu aur pasukh-e-maktub magar sitam-zada hun zauq-e-khama-farsa ka hina-e-pa-e-khizan hai bahaar agar hai yahi dawam-e-kulfat-e-khatir hai aish duniya ka gham-e-firaq mein taklif-e-sair-e-bagh na do mujhe dimagh nahin khanda-ha-e-beja ka hanuz mahrami-e-husn ko tarasta hun kare hai har-bun-e-mu kaam chashm-e-bina ka dil us ko pahle hi naz-o-ada se de baithe hamein dimagh kahan husn ke taqaza ka na kah ki girya ba-miqdar-e-hasrat-e-dil hai meri nigah mein hai jam-o-kharch dariya ka falak ko dekh ke karta hun us ko yaad 'asad' jafa mein us ki hai andaz kar-farma ka mera shumul har ek dil ke pech-o-tab mein hai main muddaa hun tapish-nama-e-tamanna ka
Please share if you liked this!!!