girte hain log garmi-e-bazar dekh kar sarkar dekh kar meri sarkar dekh kar aawargi ka shauq bhadakta hai aur bhi teri gali ka saya-e-diwar dekh kar taskin-e-dil ki ek hi tadbir hai faqat sar phod lijiye koi diwar dekh kar hum bhi gae hain hosh se saqi kabhi kabhi lekin teri nigah ke atwar dekh kar kya mustaqil ilaj kiya dil ke dard ka wo muskura diye mujhe bimar dekh kar dekha kisi ki samt to kya ho gaya 'adam' chalte hain rah-rau sar-e-bazar dekh kar