go kathin hai tai karna umr ka safar tanha laut kar na dekhunga chal pada agar tanha sach hai umr bhar kis ka kaun sath deta hai gham bhi ho gaya rukhsat dil ko chhod kar tanha aadmi ko gumrahi le gai sitaron tak rah gae bayaban mein hazrat-e-khizar tanha hai to wajh-e-ruswai meri hamrahi lekin raston mein khatra hai jaoge kidhar tanha ai 'shuur' is ghar mein is bhare-pure ghar mein tujh sa zinda-dil tanha aur is qadar tanha