gul-afshani ke dam bharti hai chashm-e-khun-fishan kya kya hamare zeb-e-daman hai bahaar-e-gulsitan kya kya kashud-e-matlab-e-ashiq ke hain lab par guman kya kya ada-e-khamushi mein bhar diya rang-e-bayan kya kya faqat ek sadgi par shokhiyon ke hain guman kya kya nigah-e-sharmagin se hai nihan kya kya ayan kya kya dil-e-khun-gashta-e-hasrat ne kya kuchh gul khilae hain bahaar-agin hai kuchh ab ki baras fasl-e-khizan kya kiya junun se kam nahin hai kuchh hujum-e-shadmani bhi hawa-e-gul mein hai jame se bahar baghban kya kya tasawwur mein visal-e-yar ke saman hote hain hamein bhi yaad hain hasrat ki bazm-araiyan kya kya chali aati hai itrai hui kuchh ku-e-jaanan se basi hai rashk ki bu mein nasim-e-bostan kya kya qadam rakhte nahin hain wo zamin par be-niyazi se badha jata hai yan shauq-e-sujud-e-astan kya kya 'zahir'-e-khasta-jaan sach hai mohabbat kuchh buri shai hai majazi mein haqiqi ke hue hain imtihan kya kya