gul-bang thi gulon ki hamara tarana tha

gul-bang thi gulon ki hamara tarana tha
apna bhi us chaman mein kabhi aashiyana tha

kucha mein us ke nala mera be-kasana tha
apna bhi is chaman mein kabhi aashiyana tha

jab koi zulf mein bhi na kuchh dakhl-e-shana tha
saudai tha mizaj mera aashiqana tha

bulbul ko apna nala mauzun tarana tha
har gul bhi mail ghazal-e-ashiqana tha

nalon mein bulbulon ki jo rang-e-tarana tha
fasl-e-bahaar thi wo gulon ka zamana tha

uljha hua jo gesu-e-jaanan mein shana tha
sumbul mein ek aur naya shakh-e-shana tha

saudaiyon ko thi teri uljhan bala ki raat
zulf-e-dota ka tul-o-tawil ek fasana tha

jate hain aap aur bura haal hai mera
aati jo ab to maut ko achchha bahana tha

tir-e-nigah ki jo kaman thi judi hui
apna jigar kabhi to kabhi dil nishana tha

dariya-e-mai ki ghat utarenge hum unhen
shirin ka ju-e-shir ka agla zamana tha

apni shab-e-visal ka allah-re ehtimam
shabnam ki shabnami thi falak shamiyana tha

kamli ko apna tan ke soya faqir mast
kya pashm tha amiron ka jo shamiyana tha

kaba ka ehtiram khuda-saz ho gaya
us waqt mein kahan ye tera aastana tha

dair-o-haram mein kya tha agar hum se puchhiye
shayan-e-sajda-e-yar tera aastana tha

kunj-e-qafas mein shikwa-e-sayyaad kya karun
us ka qusur kya hai mera aab-o-dana tha

rozi hua hai dana-e-zanjir-o-ab-e-tegh
qismat ka aashiqon ki ye hai aab-o-dana tha

lohe ke the chane tere chhinte ghazab ke thi
sayyaad khub apne liye aab-o-dana tha

ho mujh sa andalib khush-ilhan asir-e-dam
sayyaad ka nasib mera aab-o-dana tha

gandum jo khuld mein to yahan thi sharab-e-nab
ek main tha do jagah pe mera aab-o-dana tha

rind-e-sharab-e-khar raha main tamam-umr
angur ka nasib mujhe aab-o-dana tha

main wo sadaf hun jis ke hai dariya-dili ka shor
jo hans chug raha hai mera aab-o-dana tha

bulbul ke aage apni badi baat rah gai
ghuncha se to kahin tera chhuta diya na hath

rangin-khayaliyan dam-e-fikr-e-sukhan na thin
zeb tan-e-urus libas-e-shahana tha

missi kabhi mali kabhi gesu bana kiye
shab-bhar shab-e-visal mein hila-bahana tha

tujh se siwa to ai sanam allah ka hi nam
achchha tha han hasin tha yusuf bura na tha

yaran-e-raftagan ka nishan khak dhundhiye
reg-e-rawan ka qafila tha jo rawana tha

munh dekhi un ke samne kahte nahin hain hum
apni zaban pe wasf-e-dahan ghaebana tha

baad-e-bahaar ja ke oda lai bagh mein
kya ganj-e-shaegan zar-e-gul ka khazana tha

apna samand-e-umr jama jam ke ud gaya
shayad hamara raaz-e-nafas taziyana tha

raaz-e-nihan kisi pe na apna ayan hua
na-ashna-e-gosh hamara fasana tha

pahchaniye to khak ke putlon ki khak ko
begana kaun kaun sa un mein yagana tha

us shoala-ru ki thi jo dil-e-saf mein jagah
aatish-kada ye 'mehr' ka aaina-khana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close