gul yaad na amwaj-e-nasim-e-sahari yaad

gul yaad na amwaj-e-nasim-e-sahari yaad
kuchh bhi nahin juz aalam-e-be-baal-o-pari yaad

khurshid-e-sahar aariz-e-mahtab ka aalam
nazron ko abhi tak hai teri jalwagari yaad

su-e-haram-o-dair kabhi rukh na karenge
jin ko mere saqi ki hai rangin-nazari yaad

jalwon ka taqaza nahin karti nazar un ki
rahti hai jinhen husn ki diwana-gari yaad

ye waqt ba-har-haal guzar jaega lekin
rah jaegi aahon ki hamein be-asari yaad

main wo hun ki parde mein tujhe dekh chuka hun
shayad ho tujhe meri wasia-un-nazari yaad

mai-khana tha aur shaghl-e-mai-nab tha 'shair'
ab tak hai mujhe daman-e-zahid ki tari yaad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close