gulab mange hai ne mahtab mange hai shuur-e-fan to lahu ki sharab mange hai wo us ka lutf-o-karam mujh ghariq-e-isyan se gunah mange hai aur be-hisab mange hai hawas ki badh har ek bandh todna chahe nazar ka husn magar intikhab mange hai kahan ho khoe hue lamho! laut kar aao hayat umr-e-guzishta ka bab mange hai mere kalam mein taus bhi hai shahin bhi sinan ke sath mera fan rubab mange hai chadha raha hai salibon pe hum ko sadiyon se zamana phir bhi muqaddas kitab mange hai na jaane kitni ghataen uthi hain rahon mein magar hai pyas ki har dam sarab mange hai hai zakhm-khurda mere dil ka aaina aisa khirad ki tegh se thodi si aab mange hai wo meri fahm ka leta hai imtihan shayad ki har sawal se pahle jawab mange hai bikhar gaya tha jo kal raat kirchiyon ki tarah meri nigah wo tuta sa khwab mange hai karamat us se jo puchhun ki zindagi kya hai jawab dene ke badle hubab mange hai