gulabi honth ye qashqa tumhaara mujhe bhane laga chehra tumhaara labon ko pad gai aadat labon ki bahut mahnga pada bosa tumhaara makan-e-jism yun to dah gaya par qayamat dha raha malba tumhaara main jab bhi sochta hun khud-kushi ki bachata hai mujhe chehra tumhaara hamein bichhde hue arsa hua par abhi tak dil mein hai nashsha tumhaara