gulshan mein kabhi hum sunte the wo kya tha zamana phulon ka

gulshan mein kabhi hum sunte the wo kya tha zamana phulon ka
kaliyon se kahani kaliyon ki phulon se fasana phulon ka

kya mausam-e-gul par itra kar hum gaen tarana phulon ka
do roz mein aane wala hai ek roz zamana phulon ka

ayyam-e-khizan mein ahl-e-chaman sarsar ko sitam se kya roken
begana hua jab sabza bhi to kaun yagana phulon ka

phir baad-e-saba wo aa pahunchi phir rang khila nikhat phaili
ai lutne walo ab luto mamur khazana phulon ka

nazan hai jo apni qismat par gulchin ko ye kya malum nahin
jaegi bahaar aaegi khizan badlega zamana phulon ka

gulchin se kabhi main sunta hun bulbul se kabhi main kahta hun
is dard-sari ka bais hai dilchasp fasana phulon ka

shakhen bhi balaen leti hain patte bhi nichhawar hote hain
allah re jawani gulshan ki uf uf re zamana phulon ka

ayyam-e-khizan mein ai bulbul taklif bahut badh jaegi
phulon ki qasam deta hun tujhe chhed ab na tarana phulon ka

jab ahl-e-chaman so jate hain to husn ke daku aate hain
kuchh raat gae kuchh raat rahe lutta hai khazana phulon ka

murghan-e-qafas ko nind kahan nind aae yahi ummid kahan
gulchin se unhen sunwata hai sayyaad fasana phulon ka

kya zikr-e-chaman kya fikr-e-chaman kya zauq-e-chaman kya shauq-e-chaman
daghon se hamara khana-e-dil hai daulat-khana phulon ka

kya khub mili gul khane ki ye dad hamein mar jaane par
phulon mein hamare chhed diya bulbul ne tarana phulon ka

fitrat ke musafir ko bas mein rakh sakte nahin ashjar-e-chaman
aata hai zamana phulon ka jata hai zamana phulon ka

ai 'nuh' asar itna to kiya tum par bhi chaman ke manzar ne
tufan uthana bhul gae le baithe fasana phulon ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close