haal-e-bedari mein rah kar bhi main khwabon mein raha jaise pyasa koi ek umr sarabon mein raha meri khushbu se moattar tha gulistan-e-wafa khar manind mera yar gulabon mein raha guftugu tak rahi mahdud mulaqat apni mera mahbub shab-e-wasl hijabon mein raha ab mujhe khak-nashini ka sharaf hasil hai ye alag baat hai kal tak main nawabon mein raha pyar hi pyar tha tahrir mere khat mein magar juz shikayat nahin kuchh us ke jawabon mein raha main ne har haal mein parwaz ka sikha hai hunar kat gae par mere phir bhi main uqabon mein raha ishq sabit hua nuqsan ka sauda 'arif' sirf ghata hi mohabbat ke hisabon mein raha