haalat-e-haal se begana bana rakkha hai

haalat-e-haal se begana bana rakkha hai
khud ko mazi ka nihan-khana bana rakkha hai

khauf-e-dozakh ne hi ijad kiya hai sajda
dar ne insan ko diwana bana rakkha hai

mimbar-e-ishq se taqrir ki khwahish hai hamein
dil ko is waste maulana bana rakkha hai

matam-e-shauq bapa karte hain har sham yahan
jism ko hum ne azan-khana bana rakkha hai

waqt-e-rukhsat hai mere chahne walon ne bhi ab
sans ko waqt ka paimana bana rakkha hai

jaante hain wo parinda hai nahin thahrega
hum ne us dil ko magar dana bana rakkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close