hai aaj andhera har jaanib aur nur ki baaten karte hain nazdik ki baaton se khaif hum dur ki baaten karte hain tamir-o-taraqqi wale hain kahiye bhi to un ko kya kahiye jo shish-mahal mein baithe hue mazdur ki baaten karte hain ye log wahi hain jo kal tak tanzim-e-chaman ke dushman the ab aaj hamare munh par ye dastur ki baaten karte hain ek bhai ko duje bhai se ladne ka jo dete hain paigham wo log na jaane phir kaise jamhur ki baaten karte hain ek khwab ki wadi hai jis mein rahte hain hamesha khoe hue dharti pe nahin hain jin ke qadam wo tur ki baaten karte hain hum ko ye gila mahbub unhen afsana-e-bazm-e-aish-o-tarab shikwa ye unhen hum un se dil-e-ranjur ki baaten karte hain kya khub ada hai un ki 'obaid' andaz-e-karam hai kitna hasin majbur ke haq se na-waqif majbur ki baaten karte hain