hai aarzu ki aur to kya khud khuda na ho jab wo ho mere pas koi dusra na ho diwar se kahi thi jo us tak pahunch gai is baat par hi mujh se kahin wo khafa na ho aahat bhi koi pa na sake ghar se yun nikal har samt dekh-bhaal koi dekhta na ho saya bhi sath le ke na ja ku-e-yar mein ham-zad bhi safar mein kahin runuma na ho wo rah kar talash ki jo sanglakh ho dhunde koi to tera kahin naqsh-e-pa na ho mumkin kahan ki aakhir-e-shab dar pe ho koi dastak si ho rahi hai jo bahar hawa na ho