hai tanhai mein bahna aansuon ka

hai tanhai mein bahna aansuon ka
sabab chehron ki in shadabiyon ka

ba-zahir main bhi khush aur tu bhi masrur
magar dekhe koi aalam dilon ka

wafa parchhain ki andhi parastish
mohabbat nam hai mahrumiyon ka

hai apni zindagi jitna purana
talluq aankh se viraniyon ka

har ek chehre pe hai tahrir gham ki
zaruri to nahin khulna labon ka

ye main hun ya koi masum bachcha
taaqub kar raha hai titliyon ka

'kamal' ab khud bhatakta phir raha hai
tamannai tha udti khushbuon ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close