hai us gul-rang ka diwar hona

hai us gul-rang ka diwar hona
ki jaise khwab se bedar hona

batati hai mahak dast-e-hina ki
kisi dar ka pas-e-diwar hona

use rakhta hai sahraon mein hairan
dil-e-shair ka pur-asrar hona

kamal-e-shauq ka hasil yahi hai
hamara shahr se be-zar hona

firaq aaghaz hai un saaton ka
hai aakhir jin ka wasl-e-yar hona

yahi hona tha aakhir dasht-e-gham ko
hamare hath se gulzar hona

mohabbat ka sabab hai be-niyazi
kashish us ki hai bas dushwar hona

'munir' achchha nahin lagta ye tera
kisi ke hijr mein bimar hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close