hai wahm jaise koi naqsh ye duhai de

hai wahm jaise koi naqsh ye duhai de
ye zarb-e-tesha mujhe sang se rihai de

natija-e-darun-bini tha kis qadar be-kaif
kuen mein dur tak ab ret hi dikhai de

hisar-e-gosh-e-samaat ki dastaras mein kahan
tu wo sada jo faqat jism ko sunai de

ye kis talab ki hawaen masham-e-jaan mein chalin
ki jalte gosht ki khushbu faqat sunghai de

chalo ki donon hon gardab-e-ittisal mein gharq
na jaane waqt kise sahil-e-judai de

hara-bhara hi rahega wo khwahishon ka darakht
hawa hazar use barg-e-na-rasai de

'musawwir' us se kaho umr bhar na mil pae
bada hai jurm aziyyat bhi intihai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close