haijaan mein talash-e-sukun kar raha hun main yun apne gham ko aur fuzun kar raha hun main wo sun rahe hain aur tabassum hai zer-e-lab un se bayan haal-e-zabun kar raha hun main ab is se badh ke aur ho wahshat ka kya subut talif nuskha-ha-e-junun kar raha hun main ek dushman-e-wafa se badhai hai rasm-o-rah khud apni aarzuon ka khun kar raha hun main ab wadi-e-junun mein qadam rakh chuka hai ishq tashhir-e-dagh-ha-e-darun kar raha hun main mashur ho rahe hain wo sun kar mera kalam dam un pe jaise koi fusun kar raha hun main mabud hai wo bas mera matlub hi nahin sajda us aastane pe yun kar raha hun main shayad ki aab-e-tegh hi aab-e-hayat ho hadd-e-adab se khud ko barun kar raha hun main sina bhi mera hath bhi mere tumhein gharaz zad-kub apne sina ko kyun kar raha hun main chupke se sah raha hun sitam tere bewafa meri khata to jab ho ki chun kar raha hun main zoam-e-khudi mein jis pe na jaane ka ahd tha us dar pe 'khar' sar ko nigun kar raha hun main