hain gardishen bhi rawan bakht ke sitare mein tabah main hi nahin wo bhi hai khasare mein nigah pher li us ne chhupa liye aansu magar bala ki kashish thi us ek nazare mein talatumon ki sifat ishq mein rahi har-dam safina dil ka musalsal hai tez dhaare mein jala sake jo dil-o-jaan wahi nazar qatil wagarna soz-o-tapish hai kahan sharare mein tamam raat hawaon se guftugu karna ajab hai shauq mohabbat ke har sitare mein talluqat nibhana bhi ek fan hai miyan main tere mithe mein shamil na tere khaare mein udas lamhon mein 'zakir' wo jab mila mujh se nazar utha ke kaha kuchh na apne bare mein