hairat se dekhti hai darichon ki saf yahan bante hain jaan-bujh ke sae hadaf yahan kin kin ki aatmaen pahadon mein qaid hain aawaz do to bajte hain patthar ke daf yahan chhanti hai jangalon mein darakhton se raushni dhabbe hain kaise dhup ke chaaron taraf yahan uth uth ke aasman ko batati hai dhul kyun mitti mein dafn ho gae kitne sadaf yahan ghussa tha jaane kaun si sadiyon ka un ke pas aankhon se ab bhi bahta hai khwabon ka kaf yahan