halakat-e-dil-e-nashad raegan bhi nahin nigah-e-dost mein ab koi imtihan bhi nahin talash-e-dair-o-haram ka maal kya kahiye sukun yahan bhi nahin hai sukun wahan bhi nahin teri nigah ne khola moamla dil ka nazar zaban nahin rakhti pa be-zaban bhi nahin usi ko sare zamane se hum chhupae rahe wo ek baat zamane se jo nihan bhi nahin subut barq ki ghaarat-gari ka kis se mile ki aashiyan tha jahan ab wahan dhuan bhi nahin nishan-e-qafila-e-umr dhundne walo yahan to dur talak gard-e-karwan bhi nahin