hamare doston mein koi dushman ho bhi sakta hai ye angrezi dawaen hain reaction ho bhi sakta hai kisi mathe pe har dam ek hi label nahin rahta bhikari chand hafton mein mahajan ho bhi sakta hai siyasat naqli noton ki tarah dhoke se chalti hai jise rahbar samajhte ho wo rahzan ho bhi sakta hai mere bachchon kahan tak bap ke kandhon pe baithoge kisi din fail us gadi ka engine ho bhi sakta hai kabhi chashma hata kar dekh aankhon se tassub ka tere daman se ujla mera daman ho bhi sakta hai