hamare waste hai ek jina aur mar jaana ki hum ne zindagi ko jada-e-rah-e-safar jaana yakayak manzil-e-afat-e-alam se guzar jaana daren kyun maut se jab hai isi ka nam mar jaana teri nazron se gir jaana tere dil se utar jaana ye wo uftad hai jis se bahut achchha hai mar jaana jawab-e-abr-e-naisan tujh ko hum ne chashm-e-tar jaana ki har ek qatra-e-ashk-e-chakida ko guhar jaana talatum aarzu mein hai na tufan justuju mein hai jawani ka guzar jaana hai dariya ka utar jaana hum apne rahzan o rahbar the lekin sada-lauhi se kisi ko rahzan samjhe kisi ko rahbar jaana main aise rah-rau ki justuju mein mar mita jis ne tan-e-khaki ko rah-e-ishq mein gard-e-safar jaana lab-e-baam aae tum aur un ke chehre ho gae phike qamar ne tum ko khurshid aur sitaron ne qamar jaana na bhulega hamein 'mahrum' subh-e-roz-e-mahshar tak kisi ka maut ke aaghosh mein waqt-e-sahar jaana