hamari jit hui hai ki donon haare hain

hamari jit hui hai ki donon haare hain
bichhad ke hum ne kai raat din guzare hain

hanuz sine ki chhoti si qabr khali hai
agarche is mein janaze kai utare hain

wo koele se mera nam likh chuka to use
suna hai dekhne walon ne phul mare hain

ye kis bala ki zaban aasman ko chat gai
ki chand hai na kahin kahkashan na tare hain

mujhe bhi khud se adawat hui to zahir hai
ki apne dost mujhe zindagi se pyare hain

nahin ki arsa-e-girdab hi ghanimat tha
magar yaqin to dilao yahi kinare hain

ghalat ki koi sharik-e-safar nahin 'aslam'
sulagte aks hain jalte hue ishaare hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close