hamari qurbaton mein fasla na rah jae qadam se lipta hua rasta na rah jae hawa-e-wahshat-e-dil tez chal rahi hai bahut rida-e-hijr mera sar khula na rah jae khuda ke nam pe jis tarah log mar rahe hain dua karo ki akela khuda na rah jae ye log kis liye apne tawaf mein hain magan sanam-kade mein musalla bichha na rah jae tanaben kat raha hai wo khwahishon ki meri kahin pe dasht mein khema laga na rah jae ye lamha lamha jo hum jam-e-hijr pi rahe hain to tishnagi ka saliqa dhara na rah jae mujaviran-e-adab ek nazar inayat ki ghazal ki shakl mein katba laga na rah jae