hamein to khwahish-e-duniya ne ruswa kar diya hai bahut tanha the us ne aur tanha kar diya hai ab aksar aaine mein apna chehra dhundte hain hum aise to nahin the tu ne jaisa kar diya hai dhadakti qurbaton ke khwab se jage to jaana zara se wasl ne kitna akela kar diya hai agarche dil mein gunjaish nahin thi phir bhi hum ne tere gham ke liye us ko kushada kar diya hai tere dukh mein hamare baal chandi ho gae hain aur is chandi ne qabl az waqt budha kar diya hai talluq todne mein pahl mushkil marhala tha chalo hum ne tumhaara bojh halka kar diya hai gham-e-duniya gham-e-jaan se juda hone laga tha 'hasan' hum ne magar donon ko yakja kar diya hai