hamesha wahid-e-yakta bayan se guzra hai

hamesha wahid-e-yakta bayan se guzra hai
khuda ka zikr jab apni zaban se guzra hai

lakir khinch ke nur-e-guman se guzra hai
mujhe yaqin hai koi aasman se guzra hai

chamakta rahta hai donon jahan ki manzil par
wo ek shakhs jo har imtihan se guzra hai

bas itna bol rahi chaaragar ki khamoshi
bala ka dard dil-e-na-tawan se guzra hai

to kya hua jo ab aankhon mein qaid hai sahra
tere firaq mein dariya yahan se guzra hai

usi pe sabr hai mujh ko har ek daur yahan
bahaar aane se pahle khizan se guzra hai

khamosh lahje mein 'azhar' ko hashmi ne kaha
tera wajud bhi ek khandan se guzra hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close